Monday, 7 October 2013

Dhalti Shaam.......

Aaj shaam jab aasman ki taraf dekha to suraj dhalne ko tha.... 
Pakshi apne apne ghar ko lot rahe the.. 
Chand raat hone ka intzaar kar raha tha..
Taare aasaman main aane ko aatur the..

Aapne kabhi socha hai ye shaam humare liye kya kuch kar jati hai..
bacho ki besabro ko mita deti hai..
manager ki khitpit se chutkara dila deti hai..
Patni ke din bhar ke intzaar ko khatam kar deti hai..
Ma ke hath ki chai se office ki sari thakan gayab ho jati hai.. 
kai baar rishton ki kadwahat bhi shaam dhalte khatam ho jati hai..

bahut sukoon bhari hoti hai shaam ,
jee karta hai bas taktaki lagakar suraj ke dhal jaane ka intazaar kare..
shant hokar aasman ki taraf dekhte rahe..
hath me hath pakad kar samunder ki laharo ko niharte rahe..
Kandhe par sir rakh kar sab kuch bhula de..
man kahta hai bas ye waqt yahi ruk jaye........





Thursday, 3 October 2013

Ek beti ka safar....

Ek beti ka safar.....

Hum sab ke gharon main betiyan hoti hai.. Ya hum aas pass kai khelti muskurati chanchal betiyon ko dekhte hai....

Aaj yaha hai kal kahi aur kisi ke ghar ko mahkayegi... Par kabhi aapne ye socha hai is ghar se us ghar tak ka safar kesi tay karti hai ye.... Nahi na....

Jab betin janam leti hai , usi din se usake Ma Papa usake liye sapane sanjona shuru kar dete hai... Usaki khushi main haste hai, usake gam main rote hai, usake sath khelate hai, usake sath padhte hai... bahut pyari jimmedari hoti hai ye betiyan....

Usako bada hota dekh jitani khushi hoti hai ma baap ko utana hi gam bhi hota hai ye soch kar ki usake is ghar se jane ke din karib aa rahe hai....

Hum betiyan , humesha apne ma papa ke sapno ko pura karne me lagi rahti hai , aur unhi ki khushi ko apni khushi samjh kar khush hona sikh leti hai....

kabhi papa kahte hai tumhe class main sabse ache number lana honge , kabhi ma samjhati hai tumhe sabse sunder lagna hai... Kabhi dadi kahti hai tumhe ghar ka sara kaam aana chahiye... Kabhi bhai kahta hai mere sare assignment tumhe hi karne honge...

Jab class main first aate hai to papa garv se sabko kahte hai "pata hai humari beti is baar class main first aayi hai" badi khushi hoti hai unhe is tarah khush dekh kar...

Jab koi ye kahta hai "kya baat hai aapki beti to bahut sunder hai , ma khushi se jhum uthati hai...."

Dadi ko apni saheliyon se batiyate hue ye kahna acha lagta hai" humari bachi to ab ghar ka sara kaam karne lagi hai"....

Aur bhai use to her waqt order chalane ke liye, Usaki her galti chupane ke liye , use ma ki tarah pyar dene ke liye ek bahan mil jati hai...

Par Hum ye sochana to bhul hi jate hai hume kya pasand hai , hume kya acha lagta hai, hume kya karna hai....

Aur aise hi ek din aa jata hai jab hume apna sab kuch chod kar us ghar jana padta hai jaha ki her chiz humare liye anjaan hoti hai.... Ma baap ko bhi na chah kar apne jigar ke tukade ko bari man se vida karna padta hai....

Ladki ka to Ye soch kar hi man saham jata hai ki waha kese rahege jaha apna kahne ko kuch nahi , na ma papa, na bhai , na bahan, na apna room, na sakhi , na saheliya....bachpan se jo samhal kar rakhe the khilone unhe aise hi chod kar jana hoga..

Kise kahege dil ki her baat, kise kahege papa hume ye chahiye , kise kahege ki bhukh lagi hai ma kuch bana do, kise kahege dadi sir main tel laga do.... Bahut khuch khona padta hai her mod par aur bahut kuch apnana bhi padta hai her mod par....

Shayad ek ladki hi ye kar sakti hai anjaano me bhi apno ko dhundh leti hai, unhe apna bana hi leti hai, unki tarah jeena phir se sikh jati hai, unki khushiyon me phir se khush hone lagti hai, ek naya ghar basa hi leti hai......



Monday, 30 September 2013

Suhani Yaadein


wo subah ke najara ab chut gaye hai... 
wo papa ke sath chai ki pyali ab chut gayi hai... 
wo ma ke sath tahlana ab chut gaya hai... 
wo bhai ki shararte ab chut gayi hai..
wo bahan ko chedna ab chut gaya hai... 
wo dosto ke sath masti ab chut gayi hai...
wo baish me bhigana ab chut gaya hai...
wo scooty par ghumna ab chut gaya hai...
wo bachpan wo school wo college wo suhane din sab piche chut gaye hai... 
Chah kar bhi koi unhe wapas nahi la sakta... 
Her pal her waqt bas unki khushboo mehsus ki ja sakti hai..
kabhi gali main bachhon ko khelta dekh kar,
kabhi bagiya main kisi ko tahalta dekh kar,
kabhi balkani main kisi ko chai ki chuskiyan lete dekh kar,
kabhi bhai bahano ko aapas main jhagdta dekh kar...
kabhi nanhe munno ko barish main bhigta dekh kar...

miss all my golden days...